05/08/09

aadminama

duniaa men baadshaah hai so hai voh bhii aadmi
aur muflis-o-gada hai so hai voh bhii aadmii
zardaar, be-nawa hai so hai voh bhii aadmii
nemat jo khaa rahaa hai so hai voh bhii aadmii
masjid bhii aadmii ne banaai hai yaaN miyaaN
bante haiN aadmii hii Imam aur khutba-khwaaN
paDhte haiN aadmii hii Quraan aur namaaz yaaN
aur aadmii hi unkii churaate haiN juutiyaaN
jo unko taaDtaa hai, so hai voh bhii aadmi
yaaN aadmii pe jaan ko vaare hai aadmii
aur aadmii hii teG se maare hai aadmii
pagDii bhii aadmii kii utaare hai aadmii
chillaa ke aadmii ko pukaare hai aadmii
aur sunke dauDta hai, so hai voh bhii aadmii....

excerpt from Nazir Akbarabadi's long nazm Aadminama that i found in adnan's tribute to habib tanvir a few weeks ago. copied it, and forgot to post it- but i don't think that makes it less fresh.

adnan's blog is also an aadminama of sorts. many roads on the internet lead to the west- there are very, very few that take you back to your town, your neighbourhood, your gali, your home. adnan's a journalist of a rare kind, i think. to him, aadmi is still news.

No comments:

 
Add to Technorati Favorites